Subah se Sam wala pyaar
Subah se Sam wala pyaar
Subah bhor me jo me nikala hu kam par
to ghar se nikalte hi samne se aati dikhi muje ek ladki h
Wo bhi jarur apne kam ko nikali he
Upar se niche tak puri dress up he.
Meri jo pahli najar us par padi he
Wo to side hi mere dil me utari he.
Wo aage aage or me pichhe pichhe chal pada hu chouk ki or.
Chouk se main battery riksha me ja baitha huthodi der ruk ke wo bhi usi me aa baithi he.
Bhaiya metro station.
Ab me uske samne wo samne baithi he
bada pyara sa chehra he bahut hi masum si dikhati he.
Uski nazro se nazre bacha k thodi thodi der
me uska didar kar hi rha hu ki
Ha metro station aajao.
Me utar kar metro ki sidio ki or chal diya
piche mud ke dekhni ki bar bar himmat karte hue
par dekh hi nahi paya.
Maine apna token liya or station par wait kar rha hu apni train ka.
Train aagai he or me bhi usme Chad gya hu
khali seat dekh kar bhaith bhi gya hu.
Or train chal padi he.
Thodi der bhad wo aage se chalti hui aarhi he
or mere pas wali seat par aakar bhaith gai he.
Usne meri or dekha or maine uski or
Uske hothon pe halki halki si smile he
Mere chehre par bhi khusi jalak rhi he.
Wo boli hi mere nam sivangi he
me subham
Office
Ha office
Agle Station par dono ek sath utre
or ek mall me time spend kar rhe he.
Pahle cofi shop
Moive
Lunch
Mall music me tafari
Games
Or ese hi Sam ho gai pta hi chala time kanha gya.
Office off firse metro batry riksha
or chouk se wo aage aage or me pichhe pichhe
Uski ek lambi si muskan ke bad ek gali me gayab ho jana
or mera usse dekhate dekhate apne ghar ki or chal dena.
Bus yahi he subah se Sam wala pyar
or is Bhagati dodti duniya me ek sukun.
Simpy
Comments
Post a Comment